![Ye Hindustan Hamara Hai ft. Abdullah Razi SM](https://source.boomplaymusic.com/group10/M00/11/24/51d0386f9304436396d061c2267034b4_464_464.jpg)
Ye Hindustan Hamara Hai ft. Abdullah Razi SM Lyrics
- Genre:Acoustic
- Year of Release:2022
Lyrics
Hindustan Hindustan Hindustan Hindustan
Bohot dil kash bada hi khushnuma her ek nazara hai
Khuda ne is zameen pe goya Jannat ko utara hai
Zameen e hind hai ye jaan o dil ko is pe vara hai
Lahu de ker ise seencha hai awr is ko nikhara hai
Watan ka zarra zarra jaan o dil se hum ko pyara hai
Hamara hai hamara hai ye Hindustan hamara hai
Hame hai fakhr hum Hindi hai Hindustan hamara hai
Hamara hai hamara hai ye Hindustan hamara hai
Hame hai fakhr hum hindi hai Hindustan hamara hai
Ye hindu ke liye mata hai is ko mahan kehte hai
Musalman juz e imaan awr apni jaan kehte hai
Ye sikh ka dil hai eesayi bhi apna maan kehte hai
Isi chahat bhari mitti ko Hindustan kehte hai
Mohabbat ka nishan Hindustan dil ne pukara hai
Hamara hai hamara hai ye Hindustan hamara hai
Hame hai fakhr hum hindi hai Hindustan hamara hai
Hamara hai hamara hai ye Hindustan hamara hai
Hame hai fakhr hum hindi hai Hindustan hamara hai
Nadi nale haseen jharne hai awr uncha Himala hai
Yaha ka gosha gosha ek anokhi shan wala hai
Bulandi per jo lehrata hai wo parcham nirala hai
Ye azmat ka nishan apna tiranga sab se aala hai
Hamara fakhr hai arman hai aankho ka tara hai
Hamara hai hamara hai ye Hindustan hamara hai
Hame hai fakhr hum hindi hai Hindustan hamara hai
Hamara hai hamara hai ye Hindustan hamara hai
Hame hai fakhr hum hindi hai Hindustan hamara hai
Mukhalif se kaho khul ke wo karle jo bhi karna hai
Yahi paida huwe hai hum yahi pe hum ko marna hai
Rago me khun e emani hai phir kya hum ko darna hai
Hai jab tak jaan baqi haq ki khatir hum ko ladna hai
Watan pe aanch bhi aaye hume ye kab gawara hai
Hamara hai hamara hai ye Hindustan hamara hai
Hame hai fakhr hum hindi hai Hindustan hamara hai
Hamara hai hamara hai ye Hindustan hamara hai
Hame hai fakhr hum hindi hai Hindustan hamara hai
Fazawo me hawawo me yaha chahat hi chahat hai
Na dunya me kahi pawo ge aisi is me rahat hai
Luta de jaan o tan is khak se aisi mohabbat hai
Sameen ke dil ki her dahdkan me ulfat hai aqeedat hai
Hamara hind hi sare jahan me sab se pyara hai